Mohabbat…Khuda ki azeem takleeq!

Mohabbat ne ek baar khuda ke dar par dastak di
Sehme huye nazro se, ghabraye huye labo se
Awaaz lagayi, Aye khuda, mujhe kya kismat di?
Log mujhse paresha hai, main unke diye zakhmo se

Mujhe tuney uljhaya ya insano ne khabar nahi
Magar mujhe woh samjhtey nahi, parakhtey hai
Kehte hai main kamal hoon, main agar hu wahi
kyu yeh ishq mein haartey hi mujhey badnaam kartey hai?

Dastaan e ishq kamyab huyi toh main jannat hua
Koi haasil na ho saka, toh yeh jannat hi zeher hua
Main woh nahi jo yeh kehte hai, main bay aib hoon
Main toh teri sabse azeem takhleeq, tera ishq hoon

Khuda ne muskura kar kaha, barkhurdar naraaz ho
Haan maana yeh masoom tumhe jaan hi na paaye
Tum mere aks ho, yunhi nahi iss qadar sarfaraz ho
Mohabbat ho janaab, woh noor jisse khuda mil jaaye!